Uppskattad leveranstid 7-12 arbetsdagar
Fri frakt för medlemmar vid köp för minst 249:-
Yah upanyaas ek kahaanee sangrah hai . ismen aap paayenge ek berojgaar yuwak j rojgaar kee talaas men Mumbaee men bhataktaa firtaa hai aur fir haalaaton ne use jigolo arthaat purush veshyaa banaa diyaa, ek dallaa ne gareeb ladkee ko kaam kaa waadaa dekar dillee le gayaa aur use jee bee rod ke weshyaalya men bech diy, pabnjaab ke nawyuwak aur nawyuwtiyaan kanaadaa jaane ke khwaab men apnaa jeevan aur sampatti barbaad kar rahe hain aur apne hee prioyajanon dwaaraa thage jaa rahe hain , bhaarat men dharm ke naam par dharmaandh muslim hinduon kee galaa kaat kar hatyaa kar rahe hain , naksalwaad ke naam par gareeb aadiwaasiyon kee jindgee narak ban gaee hai , san 2008 men 26/11 ke hamle men 10 paakistaanee aatankwaadiyon ne 160 nirdosh logon kee hatyaa kar dee aur 300 logon ko ghaayal kar diyaa, traansjendar yaa gay paidaa honaa kyaa kisee vykti ke apne vash men hai ? naheen naa; fir unhe hey drishti se dekhnaa kahaan tak uchit hai?apne pariwar ke log hee kisee kee sampatti hadapne ke liye use mritak ghoshit kar dete hain aur apne aap ko jindaa saabit karne ke liye ek umr beet jaatee hai . kyaa yahee prashaasan aur nyaay vywasthaa hai?yah upanyaas aisee hee kahaaniyon kaa sangrah hai jiske paatron ko kisee na kisee roop men maine apne jeevan men dekhaa hai ,unke baare men sunaa hai aur padhaa hai .iskee kahaaniyaan aapko romaanchit kar dengee. main chaahtaa hoon kee aap bhee roobroo hon aur ek achchhhe insaan ke naate us dard ko mahsoos karen jiskaa naam maanawtaa hai.
- Format: Pocket/Paperback
- ISBN: 9798888337714
- Språk: Engelska
- Antal sidor: 198
- Utgivningsdatum: 2022-10-14
- Förlag: Notion Press