Uppskattad leveranstid 7-12 arbetsdagar
Fri frakt för medlemmar vid köp för minst 249:-
Yogendra Krishnaa ki ye kavitayen samvedanheen evam amanviya hote samay ke prati jahaan ek taraf gahri chinta aur sarokar vyakt karti hain, vahin ek behtar samaj aur jeevan ki aakanchha aur swapn bhi in kavitaon ki aatma me darz hain,
Sangrah ki ye kavitayen hamare aaspaas jeevan ke bheetar aur baahar khulti khidkiyan hain, apne kirdar aur unke parivesh ke bheetar jhaankti, vidroop aur amaanviya hote samay se muthbhed kar hamare liye ek behtar jeevan ki sambhavnayen talashti hui. Lagatar kathin aur kroor hote samay me bhi maanviya samvednaon ke liye avkaash ka hona kitna zaruri hai! Ek sachcha kavi is avkash ko bachaye rakhne ki jaddojahad me lahooluhaan hota hai.
Jab samast poonjivadi janviridhi taakten aur tamam amaanviya satta-sanrachnayen ekjut ho kar samaj aur vyavastha ka chehra khaufnaak bana rahi hon to ek kavi ki bechainiyan aur jimmedariyan aur bhi badh jati hain. Kavi ki ye bechainiyan yahan lok-jeevan aur prakriti ke prati gahri aastha se upje pratirodh ke swar me spasht suni ja sakti hain. Isliye ye kavitayen jitni vaiyaktik aur samajik hain, anivaryatah utni hi raajnitik bhi.
- Format: Pocket/Paperback
- ISBN: 9798895888124
- Språk: Hindi
- Antal sidor: 68
- Utgivningsdatum: 2024-10-21
- Förlag: Notion Press