bokomslag Koi to hamein Thaam lo / कोई तो हमें थाम लो
Barnböcker

Koi to hamein Thaam lo / कोई तो हमें थाम लो

Renu Prasad

Pocket

209:-

Funktionen begränsas av dina webbläsarinställningar (t.ex. privat läge).

Uppskattad leveranstid 7-11 arbetsdagar

Fri frakt för medlemmar vid köp för minst 249:-

  • 68 sidor
  • 2021

baalpan se gujarte hue yauvan ki dahlij par kadam rakhne se pahle har bachche ko ek badi hi kathin avastha se hokar gujarna padta hai aur yahi  avastha uske bhavishya nirdhaaran me mahatvapurn bhumika nibhaati hai .Agar un galion ki bhuul bhulaiya se bachkar vah nikal jaata hai to jindgi ban gayee nahi to ve uljhanen  pichha nahi chhodti .Yah hai kishoravastha ..bachpan aur javaani ke bich ka sandhikal ..harmonal chengej se gujarta hua bada hi jokhim bhara samay .Badi vichitr kahaani hoti hai -n to man se purn viksit aur n hi tan se purn viksit aur maje ki baat yah hai ki samajhate ve apne ko kisi se kam nahi jhallaahat tab hoti hai jab unki ginti n to badon me hoti aur n hi chhoton me  Aise mei ve jiye to jiye kiase ?Lagbhag saara kishor varg yaani teenagers anek alag alag kaarnon se shaaririk aur mansik pratadna ka shikar hai .Man se puri tarah samajhdar n hone ke karan pratikul paristhitiyan aane par man mei ek dar sama jata hai chahe vah pita ki daant ka kisi anjaan vyakti ki dhamki ka ya kisi rishtedar ke dwara anaitik dabab ka dar.Is bhay ka shaasan man par chalta rahata hai jab tak koi sahi disha nirdeshak  nahi mil jata hai. Margdarshak ka kaary bhi tabtak utna saral nahi hota hai jab tak unhe vah apne vishvas me nahi le leta. vartmaan me is umr ke samne internet ,social media aadi  ke kaaran chunautiyan aur bhi  jyada badh gayee hain Inhe hamaare chhanv aur margdarshan ki jarurat hai .Koi to hame thaam lo inhi samasyaon se hote hue samadhaan ki ek koshish hai .

  • Författare: Renu Prasad
  • Format: Pocket/Paperback
  • ISBN: 9798885301466
  • Språk: Engelska
  • Antal sidor: 68
  • Utgivningsdatum: 2021-12-09
  • Förlag: Notion Press, Inc.