bokomslag Ek Pagal Jadugar ka Bhoot / एक पागल जादूगर का भूत
Barnböcker

Ek Pagal Jadugar ka Bhoot / एक पागल जादूगर का भूत

Gagandeep Singh

Pocket

209:-

Funktionen begränsas av dina webbläsarinställningar (t.ex. privat läge).

Uppskattad leveranstid 7-12 arbetsdagar

Fri frakt för medlemmar vid köp för minst 249:-

  • 64 sidor
  • 2022
Jadugaron ki Duniyaa ne hamein hamesha se apni taraf kheencha hai. Vahin bhooton ke naam se hi hamein dar lagata hai. Kehne ko ham khud ko jitne bhi bahaadur kahen magar raat ko peepal ke ped ke neeche se akele nikalne mein dar lagata hai. Isee bhooton, taantrikon aur jadugaron ki duniya ko is kitaab mein sametane ki koshish ki gai hai. Ek bauna jadugar jo apni jaadoo ki duniyaan se bahut khush tha. kuchh anokha hi tha uska jadu, jahaan khauf ka mahaul bhi tha aur kuchh anokha, adbhut aur sammohan se bhara andaaz bhi. Magar uska safar kab use ek bhoot bana deta hai usko pata hi nahin lagata. Aakhir is duniya mein yadi aap kuch achha karate hain aur khaskar tab jab aap doosron se behatar hon, to jalan, dvesh aur badle ki bhaavna ban hi jaati hai. Bhaarat desh mein yadi hota hai bhooton ka jikr to sabse pahle ata hai unhein bhagane wale tantrikon ka dhyaan aur yahi hua baune jadugar ke saath, jab gaon waalon ne bulaaya tantrik bijli wale ko.... Karant ki yeh vidhi purani, magar, Kaargar, aur bhooton par bhaari. Karant ki yeh vidhi purani, magar, Kaargar, aur bhooton par bhaari...Kya tantrik bijli wala kar paega paagal jadugar ke bhoot ka samna ya reh jayega vo bhi achambhit, ya phir kahani mein aur bhee hain uljhane. Janna hai to padhiye yeh jaadu aur bhooton ki kahani "Paagal Jadugar ka Bhoot" meri zubani. Mein kaun? Mein apaka sutrdhaar....'Nishabd'

  • Författare: Gagandeep Singh
  • Format: Pocket/Paperback
  • ISBN: 9798888693834
  • Språk: Engelska
  • Antal sidor: 64
  • Utgivningsdatum: 2022-11-14
  • Förlag: Notion Press, Inc.