Uppskattad leveranstid 7-12 arbetsdagar
Fri frakt för medlemmar vid köp för minst 249:-
Jahan tak meri apni swayam ki avdharna hai ki- kavi manav samaj drishti ka saundarya darshak yantra hai. Uske dwara sahridaya rasik jano ko srishti ka antas evam baahya saundarya dikhai padta hai. Kavi apne maanas jagat mei srishti ka upbhog karta hai... aur jab wah unmakt ho jata hai.. tab use 'pralaap' ke roop mei uski unmatta phoot padti hai-yahi wo kavya hai jo, antas ras mei racha basa ras ke nau rango ki vyutpatti kar-yug.. sajmaaj.. rashtra ki vichaar dhaara ko naveen gati pradaan karta hai.. ik naye aayaam ki shuruaat karta hai.
Do sahastrabdiyon se bhi adhik samay poorv (lagbhag 70-75 varsh isa poorv) Kalidas, unki apratim kalpanaaon mei se ek.. saakaar virah vedna.. 'Meghdootam' kahin n kahin meri upryukt avdharan ko bal deti hai.
Kavyanuvaad ke roop mei 'Megh O Megh' aapke haanthon mei hai- fir bhi mujhe vishwaas nahin hota.. is prastutikaran ke peeche main.. swayam hoon. Bahut bamushkil hai.. apne mann ke bhavon ka prakatikaran karna. Sach hai.. yatharth ki sachchai se door rahkar kavi, hridaya ka nivasi kabhi nahi ho sakta- kabhi tatvavetta bhi to nahin hai. Kyonki, tatvavetta mastishk ka nivasi hota hai.. jabki kavi hridaya ka. Trigunatmak srishti ka kendra sthal hridaya hi toh hai..usmei sach..yatharth ke alawa kuch nahi hona chahiye. Us yatharth ka prakatya hi kavi ke saral hridaya ka parichayak hai. Mujhe poorn vishwaas hai - apne saral.. subodh swaroop mei yah kriti Kalidas ki us apratim virah kalpna ka yatharth-bodh aam paathak ko karaane mei saksham hogi.
- Format: Pocket/Paperback
- ISBN: 9798896735601
- Språk: Hindi
- Antal sidor: 172
- Utgivningsdatum: 2024-12-28
- Förlag: Notion Press